Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta, Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta.. Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin, Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta.. Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi, Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta.. Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai, Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta.. Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed, Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta ….!
Beeti huyi ruton mein kho sa gaya hoon, Chale aao ke teri yaad mein mar sa gaya hoon, Teri kalaam karti ankhen, Tera muskurata chehra, Un ki deed ko ab mein taras sa gaya hoon, Woh aik pal ka milna dushwaar kar gaya mujhko, Ke bagher ab tere mein toot sa gaya hoon, Tere bicharne ki duhaayi doon ya bhula doon tujhko, Tujhe yaad karte karte ab thak sa gaya hoon..
Hum b kitne dewane nikle, Diye se andhera mitane nikle, Ghum-e-Dil pe humare jo hansa karte hean, Hum unko hi Haal-e-Dil sunane nikle, Kaghazi Phoolon pr aati Nahe baharean, Ye jaan k b gulshan sajane nikle, Dunya mean bikti hean jhooti kahaniyan, Sache afsane sab hum jalane nikle, Log Bethe hean bhar k muthi mean Namak. Jane Kia soch k Hum zakham dikhane nikle...